Sitaaro.n se aage Jahaan aur bhii hai.n.................
sitaaro.n se aage jahaan aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaan aur bhii hain
taahii zindagii se nahii ye fazaaye.n yahaan saika.
Do kaaravaa.n aur bhii hai.n
kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaan aur bhii hai.n
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa
Gam maqaamaat-e-aah-o-fugaa.n aur bhii hai.n
tuu shahii.n hai parwaaz hai
kaam teraa tere saamane aasmaa.n aur bhii hai.n
isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.n aur bhii hai.n
gae din kii tanhaa thaa mai.n
anjuman mein yahaan ab mere raazadaan aur bhii hai.n
Saturday, August 4, 2007
My Shayari's ...not by me....but ispires me...
Posted by zameer at 2:33 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Web Stats
Pay Roll Advance
No comments:
Post a Comment